My beloved is friend of all but me- Alas! Alas!
Heart rending is this style of being friendly- Alas! Alas!
I’m not happy even if she is loving,
Not stable this color I fear its fading- Alas! Alas!
When cruel is she heart complains, cries
Why continues it not that I surmise- Alas! Alas!
Not firm am I on strained relations
Because I realize restive are her passions- Alas! Alas!
She would have enjoyed if could see my plight
But after wounding me went out of sight- Alas! Alas!
She paid price when this time met my rival,
Fortune favored not all remained dull- Alas! Alas!
Lo! Flowers of the very garden with me unhappy-
The land I watered flourished its greenery- Alas! Alas!
Lamentation rise from heart in absence of Cup bearer
Alas! The festivity of drinking does disappear- Alas! Alas!
In love sweetheart more than me suffered
For me, I’m sore she was shattered- Alas! Alas!
Uski to mere siwa hai sab se yaari haye haye
Dilshikan hai usska tarze dostdaari haye haye
Uske andaaze mohabbat par hai dil mera udaas
Hai nahin iss rang ko bhi payedaari haye haye
jab karam karta hai wo faryaad ye karta hai dil
Kyon nahin rehta hai usska faiz jaari haye haye
Dekhta ye haal mera usko bhi aata maza
Chip gaya wo kyon laga kar zakhme kaari haye haye
Iss sabab tarke talluq par na main qaim raha
Uski thi iss haal men jo beqarari haye haye
Ghair se milna use iss baar mehnga pad gaya
Gardishe halaat ki nasaazgari haye haye
Uss chaman ke phool bhi mujhse khafa rehne lage
Jiss chaman ki maine ki thi aabyaari haye haye
Dil se bin saaqi sada ye uth rahi hai baar baar
Haye wo jashne bahare maigusaari haye haye
Mujhse zyada ishq men usne sitam jhele Suhail
Meri khatir uski thi ye dilfigaari haye haye
----------------------------------------------------
Dilshikan=Dil todne wali,Payedaari=sthirta,Zakhme Kaari=Gehra ghav,Tarke
Talluq=sambandh tootna,Qaim=Sthapit,Nasaazgaari=Pratikoolta,Jashne bahare maigusaar=Sharaab peene ka utsav,Dilfigaari=Dil ka zakhmi hona
No comments:
Post a Comment