Loveliness All Around


Continues here briskness of waiting-Loveliness surrounds
Resembles that to the Eid’s greeting-Loveliness surrounds
Making its proper arangement
Increasing grace of ornament-Loveliness surrounds
On one hand my love and on the other,
Agreement of my sweetheart to proceed further-Loveliness surrounds
That thickens no doubt colors of infatuation
Feigned despising to lover paints admiratin-Loveliness surrounds
Making its proper arrangement
Increasing grace of ornament-Loveliness surrounds
On one hand my love and on the other,
Agreement of my sweetheart to proceed further-Loveliness surrounds
In the moments tender unique is thine
Thy preamble uneemplary and shine-Loveliness surrounds
We find therein in the tales of past,
Mentions of traditions long last-Loveliness surrounds
I achieved goal reached the destination
By the grace of thy guidance and inspiration-Loveliness surrounds
See and closely read writings of Shafey sweet
They have light of erudity,for readers treat-Loveliness surrounds
Exhilarates the prison of shining eyes
Such confinement where joys rise-Loveliness surrounds
See the charm of palms henna stained
Such sight so my passions inflamed-Loveliness surrounds
Right from lips to the core of spirit
Acceptance of Oneness of God litLoveliness surrounds-
I long and ever that ever my heart must glorify
The Ultimate,Absolute and Perfect beauty more beautify-Loveliness surrounds
Doston,
Ghalib ne aik Tarahi ghazal ke misre ke aik qafiye ka istemal istarah kiya ki wo sher madah men ho gaya bahoton ne suna hoga misra hai;
Bana hai aessh Tajammul Husain Khan ke liye
Mere saath bhi iss ghazal men aisa hi hua. Tanqeed qafiya nazm karne ke liye maine tasleem shudah naqqad,daanishwar aur apne bahot pyare dost Prof Kidwai Shafey ke naam ka istemal kiya.Mere aik doosre dost Ashar Alig mushkil zameenon men sher kehne ka challenge qubool karte hain.Lagta hai ye zameen mushkil hai Ashar Alig hi batayen
Intizaare deed ki raanaiyan
jis tarah hon eid ki ranaiyan
Ismen hain taadeed ki ranaiyan
yun badhin tanjeed ki ranaiyan
Ek taraf hai ishq mera ek taraf
Husn ki taeed ki raanaiyan
Inse to ulfat ke sau khilte hain rang
Zahiri tafneed ki ranaiyan
lamhae bemisl men bemisl hain
wo teri tamheed ki raanaiyan
Jabaja maazi ke afsanon men hain
Dilnashin taaweed ki raanaiyan
Mujhko manzil mil gayi jiska sabab
Hain teri tasdeed ki ranaiyan
Dekhiye tehreere Shafe dekhiye
Inmen hain tanqeed ki ranaiyan
Hai nishate rooh qaide chashme yaar
Ismen hain taaqeed ki raanaiyan
khoobiye daste hinai dekhiye
jismen hain maleed ki ranaiyan
Hain labon se rooh tak jalwanuma
Kalmae tauheed ki raanaiyan
Chahta hoon mere dil se hon Suhail
Husn ki tamjeed ki raanaiyan
----------------------------------------------------------Suhail Kakorvi
Raanaiyan=Saundarya,Deed=Dekhna,Tadeed=Suwaywastha,Tanjeed=zewar,Tasdeed=sahi raahdikhana,Taweed=Rwaiten,Prathaen,jabaja=jagah jagah,Mazi=Ateet,Taeed=Samarthan,Tanqeed=Samalochna,Taaqeed=Qaid,Maaleed=Malna ya chamkana=Tauheed=Aikeshwarwaad,Tamjeed=Uch prashansha karna

Loveliness All Around Rating: 4.5 Diposkan Oleh: importancenews

No comments:

Post a Comment

Popular Posts