GHAZAL

Ghazal

Hum ishq karne walo’n pe iqrar farz hai,
Us husn-e-khud-pasand pe inkaar farz hai.

Apni sifat pe aye lab-e-jaan-baksh naaz kar,
Tujhper jo charasaziye beemar farz hai.

Raushan hua isi se ye sara nizam-e-waqt,
Suraj pe apne noor ka izhaar farz hai.

Baate’n mohabbaton ki maza dengi Vasl mein,
Is haal me to shokhiye guftaar farz hai.

Takmeel-e-daastan-e-kharabiye dil to kar,
Tujhper kayam-e-hashr dilaazaar farz hai.

Jisne tujhe bahaar ka aaina kar diya,
Tareef uski khoobiye gulzaar farz hai.

Har simt usne jalwe bikhere hain dil-fareb,
Ta’at shaoor-e-deedaye bedaar farz hai.

Humne to saare farz wafa ke ada kiye,
Kuch aap per bhi sochiye sarkaar farz hai.

Uski nazar mein Kaaba-e-maqsood hai ‘Suhail’,
Hum per nigah-e-yaar ka deedar farz hai.

_________________________________ Suhail Kakorvi


Sifat= Visheshta, Labe-jaanbaksh= Jaan dalne wale honth, charasaziyebeemar= Beemar ka ilaaj,
nizam-e-waqt= samai ki vyavastha, izhaar= spashteta, shokhiyeguftaar= baton ki chanchalta, Takmeel-e-daastan-e-kharabiye dil= dil ki barbadika kissa, takmeel= poorna karna, kayam-e-hashr= pralay isthapit karna, dilaazaar=dil ko takleef pahuchane wala, khoobiye gulzaar= bagh ki sundarta, Ta’at=upasna, shaoor-e-deedaye bedaar= jagti hui aankhon ki chetna, Kaaba-e-maqsood=Lakshya ka pavitra isthaan, deedar= dekhna.

GHAZAL Rating: 4.5 Diposkan Oleh: importancenews

No comments:

Post a Comment

Popular Posts