Ghazal

Ghazal Tarah men,

Hota hai mere saath bahara'n kabhi abhi
Ye sun ke wo hue hain presha'n kabhi kabhi


Kuch istaraf bhi choriye mizgaa'n se apne teer
kehti hai unse meri rage jaa'n kabhi kabhi

Mushkil hai yun to ishq ka izhaar doston
Aata hai kaam chaak gariba'n kabhi kabhi

wo hum hain jisko faize nigahe baseet se
Hota hai apni zaat ka irfa'n kabhi kabhi



Hota hai butkade main kuch aisa nizaame noor
jisse ki dagmagata hai imaa'n kabhi kabhi

us waqt mujhko lagta hai ulfat hai kaamyaab
Hote hain mujhse jab wo gurezaa'n kabhi kabhi


Jismen hui hain gharq tamannayen sab meri
Aisa utha hai husn ka toofaa'n kabhi kabhi

wo shakhs aasmaane mohabbat ka chaand hai
Lekin mujhe kare hai farozaa'n kabhi kabhi


Hote hain jismen kaif ke lakhon haseen rang
zahir hua hain wo labe khandaa'n kabhi kabhi

Hairat hai wo sunate hain betaab dil ka haal
"Hota hai yun bhi dard ka darmaa'n kabhi kabhi"


Hans kar wo bole sun ke mere darde dil ki baat
Badla karo suhail ye unwaa'n kabhi kabhi

----------------------------------------------------------------
Faize nigahe baseet=vistrit drishti ki kripa,Butkada=mandir,nizaame noor =eeshwariya prakaash ki waywasta,ulfat=prem,gurezaan=naraaz,gharq=doobna,farozaan=chamkaka,labe khandaa'n=Hanste hue honth,unwaan=vishay




somtimes season of flower remains with me as companion
 Hearing this my beloved looks worried
Release some arrows from thy eyelashes to this end
 Demands my jugular vein from the dear one
It is difficult usually to express love
 But the torn collar helps therein 
[It is me who due to inspiration of expanded eyes
achieved the realization  my own self
we see such system of splendor temples
 By which the faith often totter 
At that juncture I feel love is successful when
 I  see beloved not in tune with me
There all my desires are drowned
 The storm which has risen from the absolute beauty
That creature is a moon of the horizon of love though
 yet brightens me occasionally
They which possess lakhs of clours of delight
 Are exposed yet very rarely
Surprising, that beloved tells the tale of restless heart
 I treat it as the cure of my anxieties
Sweetheart,hearing about the state of my aching heart,said
 Change Oh!Lover this topic sometimes
Ghazal Rating: 4.5 Diposkan Oleh: importancenews

No comments:

Post a Comment

Popular Posts