Challenge-Do that



Thy amorous desire will remain fresh bring such lovely dawn in
By the appearance of everlasting light bright thy heart and win
The killing of lovers would infuse spirit to thy taste of cruelty
Adorn  thy dagger and then perform this show beautifully
Let there be a Clash of thy eyes with those of mine
Thy plight would be strange arise that doom fine
The Kaaba turned into temple by movement  of thy eye
Sarcastically she says "over idol worship now repent and be shy"
From me elements of universe were created,I substitute thy ego
 So for the sake of alacrity see thy image which my being would show
Thy lovely lock would scatter and color of face would fade
If thou crave in love like me and my chivalrous  grade 
River of nearness is on rampage broke all binding
Now thy shyness-must try to revive and back bring
My determination is ocean with stormy waves and I sustain
Show thy limit of thy courage,cross the river of love's pain
Saying when would come in practice then certainty arise
So break love ties as thou often and thus thou surmise
Put aside all thy references and all other ailments too
Oh! Spirit of Messiah cure only love sickness so long grew
All thy trouble will remain no more trust this remedy
Feel and treat pain and agony reversely to find glee
On thy  single desire choicest flowers of wounds would bloom
Demand from thy lover to risk his life, spirit flourishes in whom
Shauq tera bedaar rahe ga aisa ujala karke dekh
Rooe nigaare husne azal se dil men sawera karke dekh

Ghazal;Translation as above
Qatle dile ushshaq se hoga tera mazaqe zulm jawan
Khanjar ko ranai ata kar phir ye tamaasha karke dekh

meri nazar se teri nazar ka aaj tasadum ho jayega
Aalam hoga tera ajab tu hashr ye barpa karke de

Kaaba khud butkhana bana hai uski nazar ki jumbish se ab
Hanskar mujh se wo kehta hai kufr se tauba karke dekh

mujhse hue hain khalq anasir aina hoon main teri ana ka
mere dil men kaif ki khatir apna nazara kerke dekh

Zulf preshan ho jayegi rang udega chehre ka
Jaisi tamanna main karta hoon waisi tamanna karke dekh

Qurbat ka sailaab jo aaya toot gain hain saari haden
jismen haya ke sare bharam the tu wahi parda karke dekh

mere irade behr hai jiski ki sab maujen toofaani hain
kitna paani tujhmen hai tu paar ye dariya karke dekh

Teri is takleef ka shayad isse madawa ho jaye,
Khoob maza aayega lafze DARD ko ulta karke dekh.

Qaul amal men aajaye tab baat yaqeen tak pahonchegi
Tarke mohabbat ke baare men jaisa socha karke dekh

Tere hawale ek jaanib hain sare maraz hain aik taraf
sirf ilaaje darde mohabbat jane maseeha karke dekh

Teri ek khwahish pe khilen ge phool hazaron zakhmon se
Apne Suhail se janbaazi ka koi taqaaza karke dekh

_________________________________ Suhail Kakorvi

Beedaar=jagne ki halat,Rooe nigaare husne azal=Aishwariye saundrya,ushshaq=aashi ka bahuwachan,mazaqe zulm =kroorta ka swaad
Ranai=sundarta ,ata=pradaan karna,Tasadum=takrao,Aalam=haal,hasr pralay,jumbish=sanket,tauba=paap na karne ka pran,zulf =kesh,khaliq=nirmit,anasir=tatw,taqaaza=maang,jaanbaazi=jaan dene ki himmat,qaul=kathan,amal=karni,tarke mohabbat=prem ka tyagna,maraz=rog,maseeha=upchaar karne wala,qurbat=sameepta,haya=lajja



Challenge-Do that Rating: 4.5 Diposkan Oleh: importancenews

No comments:

Post a Comment

Popular Posts