Amidst beauty and love there is fire
Now welfare of around I desire
It brightens and sets ablaze miseries
Its not cruel it possesses mercies
Like its flames my beloved stalks
Resembles cedar while she walks
Chilled is weather in the night of union
Come,come O!Fire in love's meridian
When it attains sweet company of wind
I see and flames everywhere I find
O! Creator of fire of emotions due to thee
Fire is there beyond doubt and certainty
Precautions are necessary in infatuation as well
So dear do not go there in that flame cell
Undoubtedly it is annexed in thy luster
Thou art flower and thy fire is flower scatterer
Husn aur ishq ke darmiya'n aag hai
khairiyat hi rahe ab jawaa'n aag hai
Roshni isse hai ye jalaati hai gham
kaun kehta hai namehrbee'n aag hai
Iske sholon ka jaisa khiraam uska hai
mere nazdeek sarwe rawaan aag hai
Sard mausam shabe wasl hai aur ham
Aa bhi ja aa bhi ja tu kahaa'n aag hai
Jab hawa ki rifaqat use mil gayi
Phir jahan hamne dekha wahaa'n aag hai
Khaliqe sholae ishq tere sabab
Mawraye yaqeeno gumaa'n aag hai
Ahtiyaten zaruri hain ulfat men bhi
Tum na jao wahan par jahan aag hai
Aye suhail uske jalwon men paiwast hai
Yaar hai gul tabhi gufishaa'n aag hai
---------------------------------------------------Suhail Kakorvi.
darmia'n=beech men,khiraam=chalna,sarve rawaan =chalta hua deodaar ka ped,sard=thanda,shabe wasl=milan ki raat,rifaqat=saath,khaliqe sholaye ishq=prem ke sholay banane wala,mawara=pare,yaqeen=nishchit,gumaan=anishchit,ulfat=prem,pawat=samaya hua
No comments:
Post a Comment