Holi ke baad



A heart snatcher was with me , I along with holi
Intoxication rises with wine’s glee,I along with holi
All colors mingled in the color one
A vivacious said, it was ,no fun,I along with holi
The wine giver celebrated holi in my color
Saw all cups of wine in laughter,I along with holi
Till the moment lovelier one remained away
Time of trial, suffered, patience, we had nay, I along with holi
Surrendered all weapons beloved’s bashfulness
Witnessed progress of emotion’s stress,I along with holi
I embraced the one who had faithfulness on lips
Heard tale which in loyalty dips,I along with holi
Amazing that sweetheart all at once became,
The mirror of love longing enjoyed this game,I along with holi

Doston,
Aaj charon taraf Holi ke rangon ki bahaar hai in rangon ke beech main aapke saath phoolon se yun holi khel raha hoon ki SilsIlaye gul men jin logon ne like ya comment ke saath shirkat ki unke naamon ko usi zameen men istemaal karke ye tohfa izhaare tashakkur ke taur par aaj pesh kar raha hoon jo beginning of an end hai dua karen silsilaye gul jald kitaab ki soorat men tzeene gulshane adab bane.Maine namon par na inverted coma lagayi na wazahat ki hai.Sab khud samjhenge aur muskura denge yahi phool ki ada hai.Holi mubarak;
Malike gulzaar ki hai ye ada tauqeere gul
Baad men taaeede gul pehle to ki takfeere gul
Tajdaare gulshane aalam Mohammad[Saws] aur Ali[Alaihissalaam]
Husne baghe Fatima[sua]hain Shabbaro Shabbeere[RA] gul
Khelte hain Krishn Holi gul ke sunder rang se
Aur badh jaati hai jab lut ti hai ye jaagere gul
Wo ke jinki sab adaon se chaman aabaad hain
Maaniye range mohabbat hain Kanhaiya peere gul
Rang hai khushboo ,saba hai aur sabza hamnashin
Aisi ham aahangiye jazbaat hai tad beere gul
Wo Zia saari chaman aarai jin ke dam se hai
unke qadmon par nichawar ho gai jageere gul
Aun-e-Haider raunaqe baghe Turaab-o-Mustafa
Unke dil men ho rahi hai wusate tanveere gul
Gul se Ibraheem ka rishta jo hai sab ko pata
Hai ye ek aijaaz aatash se hui tameere gul
Kavya ki devi ne Neeraj ko diya aasheerwaad
Wo chaman hain jiski dharti par hui taameere gul
Gul khilaata hai Azeezuddin Khizri ka qalam
unka har jumla hai yaksar motabar,tehreere gul
Wo Aneesansari jinki fikr men khilte hain phool
Is liye kehlaye gi wo shaeyri takfeere gul
Gulshane Hindostan aur shaan iski hain Waseem
Irtiqa -e- zehn unka jaise hai tabzeere gul
Wo kahaani likhte hain kehkar Hari aur keh ke Om
Unke lafzon men nazar aati hai ek taseere gul
Sumbolo-o- Rehan se hai bagh men raunaq bahot
Ismen hai tashreeh-e- gul taareefe gul taabeere gul
Wo Mohammad aur Ali ke faiz se sahil hue
Rooh men gulshan hai unke dil men hai tauqeere gul
Dil Jamal-o Nusrat -e- sehne chaman se hai Nehal
Waqt ye baarish kare hai bheeg ja aye peere gul
Gul ki khushboo aa gayi Santosh aur Javed tak
Aur phir Pavez ko hai khwahishe taskheere gul
Rang zehnon men basa Mumtaaz aur Rehmaan ke
Hai bahut hi khoob ye ranaiye tasweere gul
Mujhko dekha misle gul Pankaj ka dil khilne laga
Dil wo unka dil ki jo ho jaata hai kashmeere gul
Nayyar-o - Ghufraan se gulshan adab ka khil gaya
Wo Amaan Abbas karte khoob hain tafseere gul
Phool ki duniya ke shaidayi hain Ahmad Sabih
Chahte hain wo ki bas hoti rahe taameere gul
Aarzu ke phool se rangeen hain Ahmad wajih
Aqd ka unmen tasawur jaise ho Kashmeere gul
Shaikhe Alam ka hai gulshan jismen Amir Sabri
Mehwe hairat hain wahan hoti hai yun tafseere gul
Dil hua roshan Zia Alvi ki fehme khaas se
Hai himayal gird unki fikr ke zanjeere gul
Lafz ke moti jo lekar aa gaye Muslim Saleem
jagmaga utthi hai beshak isse ye jageere gul
Dost hain mere wo shair bhi hain Bhatnagar Vivek
Unke dil men qadre gul aur zehn men tasweere gul
Hausla deti hain mujhko wo bahen meri Qamar
jinke lutfe khaas men rangeeniye tabeere gul
Iqtidaar-e-gulshane Quraan qaim jin pe hai
Ayeton se uski karte hain wahi tafseere gul
Khil uthin ulfat ki kaliya’n yun dile Irshad men
Maine uske saamne kar di ajab tafseere gul
Haar phoolon ke Zamanat hain nishaate qalb ki
Ishq rue husn per qurba’n kare jageere gul
Hoke sahir aik afsana likha Rajeev ne
uska unwa’n rakh diya kya jane kyon takheere gul
Lucknow ke khushbaya’n hain shakiro,Mazhar,Basheer
Nakhhate ashaar se kerte hain ye tashheere gul
Likh ke Ahsan Lakhnawi ne gul ko gulshan kar diya
Unke andaaze nigarish men rawa’n taqreere gul
Hai adab ke baagh men khushbooe Sharib maujzan
Hai Malikzada ke lafzon me bhi lutfe sheere gul
Hamnawa mere Sirajuddin aur Hamid Ali
Khoob khil uthe padhi jab meri ye tehreere gul
Unka apna ek chaman hai jismen sab hai gulsifat
Hain Tarun Prakash apne iss chaman men meere gul
Lutfe Kaazim Shah se hain Kaazmi shair Hasan
Unke gulshan se mila hai unko haadi peere gul
Roop Sagar hain wo zikre husn se khush ho gaye
Keh rahen hain wo takhayyul ko mere tazkeere gul
Phool ke akson ko apne dil men rakhte hain Suboor
Kheenchte tasweer hain banti hai wo tashheere gul
Aik jumla phool jaisa likh ke bhoole the Suboor
Jisko padh kar husn ke lab ban gaye taabeere gul
Wo sajate hain hasin guldasta -e -shero adad
Akbarabadi zafar ke dil men hai taseere gul
Mujhko gulgashte chaman karte Husain Afsar mile
Lab pe thi tauseefe gul aur dil men thi tauqeere gul
Unse kuch matlab nahin Tauseef hain apne men mast
Unko kya koi rahe dilgeere gul nakhcheere gul
Shaire khushfikr hain wo naam hai Shukla Manish
Sher unke hain hasi’n jaise ki hon taabeere gul
Aasime Khan Aafridi gul khilate jaye hain
Wo Maleehabad se karne lage taameere gul
Chandrashekhar aur Akhil Anand aashiq phool ke
Chahte hain phail jaye har taraf tanveere gul
Karte hain Yasir Qazalbash-e- sukhandaan shairi
Taqwiyat deta hai unke zehn ko jab sheere gul
Jaane gulshan ki ghulaami ka mila unko sila
Yun Asad Aamir ko hasil ho gayi akseere gul
Arshad o yasir ke chehron par khili hain rangaten
Mai samajhta hoon ki in donon men hai tanzeere gul
Phir Ata Ashraf ne zikre gul ki kardi hai sana
Unko iss qisse men shayad mil gaya hai peere gul
Hamne dekhe hain wo bhanwre kis qadar sargashta hain
Sarvat-o-Afsar ise samjhen bahare meere gul
Mustafa ke naam men shamil Hasan ka naam hai
Naam aisa jisko kehna chahiye Tanveere gul
Haq Zafar ka naam hai aur naam hai Haq ka Zafar
Jazb ismen hai sanaiye Haq suno taqreere gul
Hai Avadhnama Waqaar-e- gulshane urdu adab
Jismen hai Rizwaan aur Haroon ki tehreere gul
Likhne wale dil se hain Shafe,Ovaise sambhali
Inki tehreeron men raqsaa’n ho gayi hai beere gul
Phool tha daste dua beemaar the Athar Nabi
Mil gai unko shifa wo pa gaye akseere gul
Nazim-o-Ashar ko dekha khaar ke maddah the
Unka apna tarz tha karte the yun tabeere gul
Aisha,Parveen,daanishwar wahi hain Sabira
Hain Sabiha gulshane afsana men taabeere gul
Wo Nafees-e- khushnawa karte hain gul par tabsira
Haal unki fikr ka hai jaise hai taaghyeire gul
Khoob hai Aijaz Farooqui ka roohaani mizaaj
Ek naye andaaz men karte hain wo taameere gul
Gul ki khushboo aagai Santosh aur Javad tak
Facebook se ho gai hai is tarah tashheere gul
Jisko ho jaye wo khushqismat hai Irfaan-e-chaman
Unse sargoshi karen bas wo sunen taqreere gul
Unke lafzon ki hai khushboo jaan men mere basi
Wo Mohi Baksh -e -mohabbat ashna taabeere gul
Rang zehnon men basa Mumtaaz aur Rehmaan ke
Hai bahoot hi khoob ye ranaiye taskheere gul
Sabzposhi Wo Ali ki uspe wo chehra gulaab
Aur lehje men hai unke kuch ajab taseere gul
Yaad men Arpit ki bechaini Ajay ko ho gai
Jaise hijr-e- gul men ho jaye koi dilgeere gul
Aaaj gulshan men Arun ke saath aye hain Vishaal
Har taf tameere gul ,tadbeere gul tafseere gul
Shauqe saire gul hai Sanjay Shauq ko beshak Suhail
Is liye rehti hai unki baat men taseere gul
Taqseer=ghalti,Tazeer=saza,Tauqeer=izzat,Tanzeer=Samaanta,Tehreer=Lekhni,Meer=netritva kerne wala,Tameer=nirmaan,Tafseer=wayakhya,Tashheer,Prachaar,Tazkeer=Bahaduri,Taseer=asar,
Tanveer=Roshni,Akseer=sanjeevni,Tabeer=arth,sheer=doodh,zanjeer=bedi,sargashta=wyagra,jazb=samaya hua ,Sanaye Haq =Allah ki Tareef,Taseer=wyakhya,Aqd=vivaah,Tabzeer=konpal phootna,shakhen phailna,Tashreeh=wayakhya,Tafkeer=kalpana,

Holi ke baad Rating: 4.5 Diposkan Oleh: importancenews

No comments:

Post a Comment

Popular Posts