O! Shore front ,
These factors would carry us across
Hoping and hopefully looking at thee
Believe thy thirst is a sweet style of Ocean
Wait-the very waves would quench that
Specific water would make thy self a garden
The clouds hover must release shower, look up to sky
No need to think about the subject known to all
That paths leading to all goodness egressed from thee
Seeing the wonderful storm of love lunacy
Do thou ever desire to sink therein?
Command to drown the existence has been issued
Wide-awake thou must be of the terrible flow of winds
Poor ones they are innocent of the secrets of rivers
Those who are heaving sighs of worry looking at eddies
Saahil[ghazal]
Kashtiye dil ko yahi paar utaaren sahil
Tusjhse ummiden hain aur tujh pe nigahen sahil
Tusjhse ummiden hain aur tujh pe nigahen sahil
Hai teri tashnalabi behre mohabbat ki ada
Tujhko sairaab karengi yahi maujen sahil
Tujhko sairaab karengi yahi maujen sahil
Wahi paani to banayega chaman tera wajood
Ab ye barsen ki jo chhaii hain ghatayen sahil
Ab ye barsen ki jo chhaii hain ghatayen sahil
Iski tafseel men kya jayen ki waqif hai jahan
Tujhse nikli hain sabhi khair ki rahen sahil
Tujhse nikli hain sabhi khair ki rahen sahil
Dekh kar husnebalakhaiziye toofane junun
Tujhko hoti hai ye khwahish kabhi dooben,sahil?
Tujhko hoti hai ye khwahish kabhi dooben,sahil?
Hukm gharqabiye hasti ka samander ko mila
Tu bhi hushiaar qayamat hain hawayen sahil
Tu bhi hushiaar qayamat hain hawayen sahil
Wo kahan raaz se daryaon ke waqif hain Suhail
Bhar rahe hain jo bhanwar dekh ke aahen sahil
-----------------------------------------------------------------Suhail Kakorvi
Tashnalabi-Pyaas,sairaab-Tripti,Husne balakheziye toofan=Sundarta ka uthta toofaan-Junun-Prem ka pagalpan,Hukme Gharqabiye Hasti=Astitwa ko dibone ka aadesh,Waqir-janna,Khair-Bhalai

No comments:
Post a Comment