Ghazal

Ghazal,

Shauq tera bedaar rahe ga aisa ujala karke dekh
Rooe nigaare husne azal se dil men sawera karke dekh
[Thy desire will remain awakened if thou create such light system,
 Hence  must bring dawn in thee inspired by the radiant face of Eternity]

Qatle dile ushshaq se hoga tera mazaqe zulm jawan
Khanjar ko ranai ata kar phir ye tamaasha karke dekh
[ slaughtering lovers would sustain thy taste of cruelty
so give elegance to dagger and present the show once again]

meri nazar se teri nazar ka aaj tasadum ho jayega
Aalam hoga tera ajab tu hashr ye barpa karke de
[There should  be clash of thy eyes with mine
Then thy state would be unique, so make such doom occur]


Kaaba khud butkhana bana hai uski nazar ki jumbish se ab
Hanskar mujh se wo kehta hai kufr se tauba karke dekh
[Holy Kaaba with a slight movement of thy eyes turned out into temple
 Beloved with tender sarcastic laughter challenges me to repent of idol worship]


mujhse hue hain khalq anasir aina hoon teri ana ka
mere dil men kaif ki khatir apna nazara kerke dekh
[All elements had been created due to me,I am the mirror of Thy Vanity
Let us ,for the sake of delight look Thyself in me]

Zulf preshan ho jayegi rang udega chehre ka
Jaisi tamanna main karta hoon waisi tamanna karke dekh
[Lovely locks would be scattered and the color of face faded,
Happens this if thou desire the way I do]

mere irada ki naddi ki sab maujen toofaani hain
kitna paani tujhmen hai tu paar ye dariya karke dekh
[The waves of river of my intentions in love are simply stormy
 How much water of courage thou possess co cross that river] 

Teri is takleef ka shayad isse madawa ho jaye,
Khoob maza aayega lafze DARD ko ulta karke dekh.
[Thy agony might get get remedy if ,
If thou reverse the word Dard[pain] and keep on repeating]

Qaul amal men aajaye tab baat yaqeen tak pahonchegi
Tarke mohabbat ke baare men jaisa socha karke dekh
[The subject will reach to certainty when sayings turn into action
 Therefore try to successfully do what thou surmise of breaking love relations]

Tere hawale ek jaanib hain sare maraz hain aik taraf
sirf ilaaje darde mohabbat jane maseeha karke dekh
[Thy reference are aside,presence of diseases is on the other side,
Oh!spirit of Messiah take up challenge to the cure amorous  yearnings]

Qurbat ka sailaab jo aya toot gai hain saari haden
Jisme haya ka sara bharam tha tu wahi pardah karke dekh
[The flood of the feeling of nearness has broken all barriers
 Now once again draw that curtain which possessd all credit of bashfulness]

Teri ek khwahish pe khilen ge phool hazaron zakhmon se
Apne Suhail se janbaazi ka koi taqaaza karke dekh
[On the single instance of thee flowers of wounds would blossom
 must try the spirit of venturesomeness of thy lover] 

_________________________________ Suhail Kakorvi

Beedaar=jagne ki halat,Rooe nigaare husne azal=Aishwariye saundrya,ushshaq=aashi ka bahuwachan,mazaqe zulm =kroorta ka swaad
Ranai=sundarta ,ata=pradaan karna,Tasadum=takrao,Aalam=haal,hasr pralay,jumbish=sanket,tauba=paap na karne ka pran,zulf =kesh,khaliq=nirmit,anasir=tatw,taqaaza=maang,jaanbaazi=jaan dene ki himmat,qaul=kathan,amal=karni,tarke mohabbat=prem ka tyagna,maraz=rog,maseeha=upchaar karne wala

Ghazal Rating: 4.5 Diposkan Oleh: importancenews

No comments:

Post a Comment

Popular Posts