English rendering of Ghazal



What outstanding grace sun, moon,and flowery gardens show,
 In fact instead the manifestation of Thy luster wins the credit
This happens because of voice of his soul and his ever agile mind
 And so all around the world poetry of Mirza Ghalib comes out with flying colors
Although sometimes love is defamed but achieves fame through that
 This irksome ailment of hearts captures minds with abounding distinction
One who brought the perfect compilation of verses possessing sustenance for humanity
 He has fragrance in his splendid lips and his words attained approval and esteem
let it be tyranny or cruelty whether kindness or grace in every sense He is One
 Sweet slayer, lancet pricker,blithe soother, He commands victory
In general positive response becomes cause of loving someone
 But there is Vanity of One's denial overwhelmingly conquers all
strokes of hooked ring in the tale of music of life has a definite place
 By which wires turn alive and so ultimate tinkling prevails over senses
why to call it the tremor of doomsday,rather its clear victory of hearts
 The lovely Cherish er and the Pardoner with the gestures of bountifulness enchanted all creations
 The one who assimilates in him the plenty of the favors of wine giver
 only he who does the same gets success and distinguished place in tavern
I feel proud on the link of my lineage with him,
He whose bravery and sword win credence ever
-----------------------------------------------
Jo shamso qamar ne aur range gulzaar ne jhande gade hain
Darasl ye tere jalwon ke izhaar ne jhande gade hain

ye rooh ne uski aur zehne bedaar ne jhande gade hain
Duniya men jo Mirza Ghalib ke ashaar ne jhande gade hain

Hai naam to uska aalam men badnaam hua hai ishq to kya
Har samt hamare dil ke is aazaar ne jhande gade hain

Aayate baqaye aalam ka majmooaye kaamil laya hai
Labhaye munawwar wale ki guftaar ne jhande gade hain


Ho zulmo sitam ya lutfo karam har haal men bus yakta hai wahi
Nshtar zane qatil albele gamkhwaar ne jhande gade hain


Dil jis pe fida ho jate hain wo baat to hai iqraare wafa
Bus ek Mutakabbir hai jiske inkaar ne jhande gade hain


mizraab ki choten kya kehna afsanaye saze hasti men
Har taar men jaan pad jaati hai jhankaar ne jhande gade hain


ye fathe mubeene dil hai ise hungamaye mehshar kyon kahiye
Bakhshish ki adaon wale us dldaar ne jhande gade hain
[
jo faize nigahe saaqi ko paiwaste rage jaan karta hai
masti ke jahan main aise hee maikhwaar ne jhande gade hain


main fakhr 'suhail' ye karta hoon hasil hai mujhe uski nisbat
wo jiski shujaat aor jiski talwaar ne jhande gade hain


Shamso qamar=chaand aor sooraj,Gulzaar=phoolo ka baagh,izhaar=pradarshit hona,zehne bedaar=jaagti kalpana,ahaar=panktiyan,samt=disha,aazaar=peedaa,iqrare wafa=prem ki swikriti,mutakabbir=ghamandi,mizraab=sangeet ka wo yantra jiski chot se taar naghme jaari karte hain,Fathe mubeene dil=dil ki spasht jeet,Hungamaye mehshar=pralaye ka hungama,Bkhshish=chama karna,pruskrit karna,Faize nigahe saaqi=sharaab pilaane wale ki aankhon ki kripa,paiwast=sammahit,rage jaan=jeevan dhamni,maikhwwar=sharaab peene waala,Fakhr=garv,nisbat=judao,Shujaat=Bahaduri


English rendering of Ghazal Rating: 4.5 Diposkan Oleh: importancenews

No comments:

Post a Comment

Popular Posts