Translated Gazal

Ghazal bar zameen Allama Iqdaal,

Bana zakhmon ko rangin phool naseh dil lahu karle
Jo maine karke dilkhlaya agar himmat hai tu karle
[O!Preacher make your wounds like flowers by infliction in love
 If you have courage, do what I did in that direction]

wo mastenaaz mujhko chahne ki aisi khu karle
ki apna munh chipane ka koi saman adu karle
[ I long that my lovely companion may adopt such pattern to love me
 seeing which the rival may search cores to hide face]

koi mahroome nazzara nahin hai sare aalam men 
Bus apne dil ko roshan karke uski aarzu karle
[No one is deprived of enjoyment of looking beauty freely
Needed is that you kindle your heart and then desire for that]

To phir uski nazar ke faiz se hon surkhru aalam
Nazar men jazb koi jab bahare rangobu karle
[The countenance of both universes would be red with success by the grace of the eyes--
Eyes of one who absorbs color and fragrance of spring in his sight]

Safar behtar hai purummed aye manzil ke shaidai
jo usko paa nahin sakta to uski justuju karle
[O! carver of the climax point of love travel with hope robust in you
 If you think you will not attain desired then make seeking your way]

Har ek sajde pe naazan hoga khud masjood bhi usdam
Hamari rooh aabe ishq se jisdam wazu karle
 [ The One Worshiped would certainly be proud of our bowing head before Him
 But this can be possible if we purify soul with the pure waters of extreme infatuation for Him]

Kahan ki tashnagi kaisi talab aye rinde mastana
Tujhe gar shauqe mainoshi hai irfane subu karle
[Fade the idea of thirst and forget about craze of drinking wine
Instead O! Wine consumer try hard to attain knowledge of cup of wine]

Ana ki dhajjiyan ud jayen tooten dil ke aainey
Irada khudnumai ka jo wo aainaru karle
[Human ego would be torn into pieces and glass like hearts be broken,
 If that Absolute Real Mirror Like Face intends to reveal itself]

Nigare subh ka chehra damak utha faza mahki
Suhail ab aa gaya mausam ki jashne ha-o- hu karle
The face of beauty of morning glittered and surroundings are perfumed
So O! Poet season arrived when one can shout with joy in intoxication]
----------------------------------------------------------------------------------------------------------Suhail Kakorvi
Naseh=[naseehat karne wala,mastenaaz=maashooq ,preyasi,Khu =aadat,Adu==prem men pratiduandi,Raqeeb,jazb=sammahit karna,Faiz=kripa, ,surkhru=saphal,mahroom =wanchit hona,purummed,ummeed se bhara,shaidai=Ichuk,justuju=khoj,Sajda=Namaaz me zameen par maatha rakhna,masjood =ALLAH,aabe ishq=prem ka paani,wazu=namaaz ke liye shareer ke kuch ang dhona,Tashnagi=pyaas,Talab= kaamna,Rinde mastana=mast sharaabi,shauqe mainoshi=sharaab peene ka shauq,Irfane subu=sharaab ke pyale ka gyaan,Ana=aham,ghuroor,khudnumai=swayam ko pradarshit karna,dikhana,aainaru=aaine jaise chehre wala,Nigare subh =Subah ki devi,faza=-watavaran,ha-o-hu=masti prakat karna

Translated Gazal Rating: 4.5 Diposkan Oleh: importancenews

No comments:

Post a Comment

Popular Posts