SIMILES SCATTERED

Notch like sword have her eyebrow
Her locks to captivate hearts vow
I determine to procure love for Nation
From any holocaust without mention
Like arrow came out of brow not to be back
Beloved disappeared life is utterly black
Love brightened system of  emotions
With shine heart about beloved visions
My sweetheart laden with love lives with me
So every dream seems coming true, its lovely
Her visit casts away troubles its cure of sufferings
 Undoubtedly along with her elixirs she brings
Thou mingle with all that,no surprise have I
Like misfortune time has with me a grave vie
Implied in their failure their success therein
Of those who fight for right like Hussein and win
Lucky now I she appears suddenly regretful before me
Runs upon those corals lips something like apology

Abru men uske kaat hai shamsheer ki tarah
wo zulf qaide dil ko hai zanjeer ki tarah

uski hifazaton ke main karta hoon ahtamam
Hubbe watan jo dil men hai jageer ki tarah

Aana hai uska radde bala wajhe sad shifa
uska wajood khud hi hai akseer ki tarah

Shamil jo ismen tum hue hairat nahin mujhe
Rootha hai mujh se waqt bhi taqdeer ki tarah

Hai faize ishq jisse darakhshan hai jazbe dil
mujh men khayaale yaar ki tanweer ki tarah

Nikla kamaane dil se na wapas hua kabhi
Ojhal hua nazar se koi teer ki tarah

Itni mohabbaton se wo rehta hai mere saath
Har khwaab mujhko lugta hai tabeer ki tarah

Wo haar kar bhi jeetne wale hai doston
Jo Haq ki jung ladte hain Shabbeer ki tarah

Ismen to sare wasl ke samaan hain Suhail
Kuch uss haseen lub pe hai tazeer ki tarah

Abru=Bhanwen,Shamsheer=Talwaar,Hubbe watan=Desh Prem,Rdde bala=Aapdaon ko door karne wala,Sad Sifa=upchar,Akseer=Sanjeevni,Faze Ishq=Prem ki daya,darkhshan=chamkdaar,jazbe dil =man ki bhawnayen,Tanweer=Prakash,Tabeer=Khwaab ki wyakhya,Haq=Sachai,Shabbeer=Hazrat Imam Husain ka doosra naam,Wasl=Milan,lub Honth,Tazeer=Glani




SIMILES SCATTERED Rating: 4.5 Diposkan Oleh: importancenews

No comments:

Post a Comment

Popular Posts