Photo of CARNIVAL








Aaj teen roza literature carnival Indira Gandhi Pratishthan men meri English Poems ki Anthology EFFULGENCE release hui .Mere bade bhai Haji Fareed Mehfooz Qidwai Minister in U.P govt.ke saath Nawaab Jafar Meer Abdullah,Prince Dr Ali khan Mehmoodabaadi,Dr Anees Ansari aur carnival ki Director Kanakrekha Chauhan ijra ke waqt stage par maujood thi.Mere dost Pradeep Kapoor,Tarun Prakash,Manish Shukla,Mohammad Ali Sahil,ChandraDr.Sultan Shakir HashmiShekhar,Mohd Meraj Siddiqui,Arpit Srivastava,Tauseef Siddiqui,Arshad Siddiqui, Rajeev Prakash Sahir ,Mohi Baksh Qadri,Ashar Alig,,Nazim Bareillvi,Sheikh Asad Aamir Mustafavi,Mohammad Irshad,Shaukat Ali,aur mere mushfiq bhai Syed Ahmad Sabih Advocate ne wahan pahonch kar mera hausla badhaya

Do masroof tareen motabar sahafi waqar Rizvi aur mere Azeez dost Santosh Kumar Valmeeki sirf meri khushi men shareek hone wahan pahonche the.Haseen mahaul men kitaab ki ijara ke waqt Lucknow ke chuninda scholars majme ki Raunaq badha rahe the main sab ka shukrguzaar hoon Suboor Usmani agarche wahan nahin the lekin Effulgenge ke title par symbolic image unhi ki kheenchi tasweer hai wo kitaab ke safhaat aur safhaye dil par jagmaga rahe hain yahi Effulgence ka saar hai.

Jayant Krishnan ji Aur Kanak Kekha Chauhaan ji khas taur par shukriye ke mustaheq hai.Unki inayat yaad rahegi
-Suhail Kakorvi


Photo of CARNIVAL Rating: 4.5 Diposkan Oleh: importancenews

No comments:

Post a Comment

Popular Posts