Aaj subah Suboor Usmani ki aik photo par sher kaha jismen safar ke ishare the .safar men justuju aur amal ka bada ahem muqaam hai chand sher ho gaye jo Suboor ke naam hai aur facebook ke doston ko pesh hain;Justuju se Azm tak.
sochkar ye raah apni paar kar
justuju ka naam hai azme safar
justuju hai kkamyaabi ki nawed
Azm se khulte hain sab dunia ke bhed
justuju hai roshniye zindagi
Azm se iski badhe tabindagi
justuju buniyaade tameere hayaat
Azm hal karta hai saari mushkilaat
justuju se hai safar men taza dil
Azm se chale safar ke mundamil
justuju se hi to hai irfane zaat
Azm se jaari hai kare kainaat
justuju se pukhta hote hain khayaal
Azm se hai un khyaalon ko kamaal
justuju se raghbate jehde amal
Azm se hai quwwate jehde amal
justuju ko saath rakh apne suhail
Azm ke dariya men ho tujhse hi sail
ENGLISH TRANSLATION-
[Quest is synonym of determination,
so always think that while you proceed farward]
[Quest is the glad tiding of success,
and determination opens all secrets of universe]
[Quest is the light in life
Determination so increases that light]
[Quest is the base of construction of life
determination solves every problem of life]
[Quest keeps heart fresh in the journey
determination heals up the blisters in travel ]
[It is quest that imparts knowledge of self
And through determination there are actions ]
[Quest makes ideas strong,
determination brings perfection therein]
[Quest produces interest in the struggle of action,
determination infuses spirit in that]
[One must keep quest along
and one must cause flood in the river of determination]
No comments:
Post a Comment