Absolute Shine[Translation of Ghazal]
Just felt I, my realm of emotions turned fantastic
As all of a sudden my ever mysterious one splashed the brisk longings
And sprang up the doom,not doom I doubtlessly believe
Feel O! love laden heart the movement of lovely eyes and rosy lips.
Effulgence of that flashes the Divine Self and His attributes
Belongs to Arab that mirror synonym of limitless flowering
Desire of my eyes would sacrifice life on gracious wish to impart
The whole scheme of color and fragrance is here due to one reason only
The waves of joy come, extracted from its within
The extreme intoxication is the grace of grapes
There is glow of sweet gestures like shining day in her
And her moonlike face is the mirror of beauty of pleasant night
Enlightenment provides sense to trust all reflections are of that----
A mirror of mine and of thine with absolute shine.
----------------------------------------------------------------------------Suhail Kakorvi
Ghazal,
Isse wajoode dil hua kaisa ghazab ka Aaenah
Kaifo nishate hashr ko iske siwa kahun main kya
Gardishe chashme naaz ka jumbishe lub ka Aaenah
uski chamak men jalwagar Haq ki sifaat o noore Haq
Rue bahare bekaraa'n hai wo Arab ka Aaenah
Shauqe nigah hai fida khwahishe khudnumai par
Hai ye jahane rango bu aik sabab ka Aaenah
mauje suroor aayi hai khinch ke usi ke qalb se
Nashshaye bepanaah hai husne anab ka Aaenah
Din ki misaal roshni uski har ek ada men hai
Dilbare maah rukh to hai khoobiye shab ka Aenah
sare hi aks uke hain sara nizaam uska hai
Ainasaaz wo suhail wo to hai sab ka Aaenah
---------------------------------------------------------------
Husne Talab=mangne ka sandarya,kaifo nishaat=Harshoullas,Gardishe chashme naaz aur jumbishe lub=Preyasi ki aankhon ka ghoomna aur honthon ka hilna,khudnumai=apne ko dikhana,jahane rango bu=Rang aur khushboo ka sansaar,Sabab=wajah,mauje suroor=anand ki laher,Qalb=Hriday, anab=angoor,aks =pratibimb,nizaam=wyawastha,Ainasaaz=darpan ka rachaita,jalwagar=dekhai dena,hona,Haq=Eishwar,Rue bahare bekaran=Aseem bahaar ka chehra,Arab ka Aaenah=PAIGHAMBER MOHAMMAD SAHAB
No comments:
Post a Comment