Grief Stricken



Grief Stricken
It is not now but it was in the glory of youth
That person was exclusive in beauty smooth
My eyes learnt lesson seeing precarious state
Now in curse  who deserts my heart it is fate
Love became victim of conspiracy of night
That love which lived high in sun bright 
The world repents when looks at thee
Vanity in past I saw growing in thee free
Beloved looked kind,reality was different
I believed that which only dream meant
Quenched not never the thirst of the one
Who trusted the mirage and therein run
Captive of lust grief stricken friend of mine
Remedy for him he sought was never in wine
I pitied over the condition of my intimate bad
Who in commotion and in restlessness was sad
-----------------------------------------------------------Suhail Kakorvi

Kharaab Haal
Wo haal ab nahin jo aalame shabaab men tha
wo aadmi to haseenon ke intikhaab men tha

Use jo dekha to ibrat hui nazar ko meri
Wo mere dil men na tha ab to wo azaab men tha

Shikaar raat ki sazish ka ho gaya hai wahi
Basera jiska balandeeye aaftaab me tha

Zamana tauba kare aap ko jo dekhe hai
Bahot ghuroor mujhe yaad hai janaab men tha

Isi liye to kabhi pyaas uski bujh na saki
Bharosa uska bhatakta hua saraab men tha

Hawaszadah tha isi se to ghamzadah wo raha
Ilaaj uska kahan nashhaye sharaab men tha

Wo mehrba'n nazar aya,haqeeqaten thin alag
Yaqeen mujhko hua tha magar wo khwaab men tha

Suhail mujhko taras uske haal par aya
Wo beqaraar tha aur haale iztiraab men tha
----------------------------------------------------------Suhail Kakorvi
INTIKHAAB=UTKRISHT,IBRAT=PATH LENE YOGYA,SAZISH=SHADYANTRA,BALANDEEYE AAFTAAB=SOORAJ KI UNCHAI,SARAAB=MIREECHIKA,HAWASZADAH=HAWAS KA MARA HUA,IZTIRAAB=WYAKULTA

Grief Stricken Rating: 4.5 Diposkan Oleh: importancenews

No comments:

Post a Comment

Popular Posts