Others know thee as promise breaker they tell
Hypocricy utter hypocricy that the words they crumple
The garden dwellers know how the flowers trample
Though moved some steps upon the love's way
Yet found reason of its wayfarer's weary fray
Amateurs in love thaught that only gibbet and rope
But enlightened ones found therein ultimate hope
We never tell even if somebody asks to detect
As about signs on thy forehead to what they connect
Totally unsuccessful are they have no grasp to express
And they whose sensibility twinkle while say, claim success
Distances are there but at last would be no where
For the fire of passions in thy within will be surely b
I enjoy to watch the gorgeous colors upon thy face
Hilarious is my mirth for I know the reason of such grace
I remain always alert and vigilant in love which wisdom endows
I enjoy to watch the gorgeous colors upon thy face
Hilarious is my mirth for I know the reason of such grace
I remain always alert and vigilant in love which wisdom endows
Cognizance I have about the pertness that her attributes rouse
Ham bakhoobi tere sab heelao fan jaante hain
Log to sirf tujhe wada shikan jaante hain
Ye siyasat hai ajab chup hain batate bhi nahin
wajhe paamaaliye gul ahle chaman jaante hain
Go chale chand qadam bhi shanaasa hain zaroor
Rehrawe rahe mohabbat ki thakan jaante hain
Ahle dil jisko samajhte rahe manzil ka nisha'n
Kam nazar jisko faqat daro rasan jaante hain
Koi pooche bhi to batlayen na usko ye kabhi
Aaj koi hai tere mathe pe shikan jaante hain
Wo hain nakaam ki jinko nahin kehne ka shaoor
Surkhru wo hain ki jo tarze sukhan jaante hain
Fasle rakhe hain ye fasle rehne ke nahin
Tere jazbaat ko ham shola badan jaante hain
uske chehre pe baharon ke hain rangeen nisha'n
Hum bhi hain mast ki wo kyon hai magan jaante hain
uske chehre pe baharon ke hain rangeen nisha'n
Hum bhi hain mast ki wo kyon hai magan jaante hain
Ham to rehte hain sada isliye hushiaar Suhail
Kisqadar shokh hai us yaar ka man jaante hain
Heelao fan,achalakian.wada shikan=wada todne wala,pamaliye gul =phoolon ka raunda jana,ahle chaman,Baagh me rehne wale,shanaasa=jaankaar,rahraw=pathik,shikan=bal,shaoor=samajh surkhru=saphal,Shola badan=aag rakhne wala shareer
--------------------------------------------------------------------------------------------Suhail Kakorvi
No comments:
Post a Comment